Main Menu

Facebook me Dark mode kaise On Kare 2020/latest tricks


Dosto. aaj ke jamane me har Koi apne mobile me bahut se social media wale app jaise fb, whatsapp,Telegram, Aur bahut sare social site use karte hai. inme se aap bhi in social media ka istemal karte honge to yah article apke liye bahut hi Kam ki hone wali hai.

to aap Sabhi mere sath me ant tak bane rahe jisse apko is article se behtarin jankari Mil sake .


Facebook me dark mode kaise on kare 


Dosto jaise ki aapko Pata hi hoga ki raat ke time jab bhi hum apne mobile ko use karte hai to uska White light or uska lighting bahut Jyada hi havey hota hai jo Hamare ankho ke liye nuksan deh rahta hai 
Jo Hamare liye blindnes ki vajah bhi ban sakti hai aur yah Kafi khatarnak hoti hai .

Is vajah se social network site apne applications ke features me Kuch Naye Naye update late rahte hai Jisme se ek facebook ko dark mode par Karna Aur uski theme change Karna is Tarah ki features facebook 
Apne Applications me Provide kar rahi hai. 

Jaise hi aap apne mobile phone me facebook app ko dark mode me karte hai to uska White light Kam ho jata hai jisse ki Hume raato ko facebook use karne me Asani hoti hai .isliye aap facebook use karte samay dark mode on Kar le jisse apki ankh better feel kar sake. 

Facebook me dark mode ko kaise Anabel kare 

Facebook me dark mode ko on karne se Pehle apko apne mobile phone par facebook ka application hona bahut jaroori hai or aap fb lite se bhi dark Mode on kar sakte hai.yah features fb messenger parBhi available hota hai .To dosto chaliye hum apko step by step facebook ke dark mode ko on kaise karte hai is post me iski puri jankari hum apko denge. 


1. sabse Pehle apne mobile phone me fb lite or facebook messenger app ko download Karna hoga 


2. Uske baad aapko fb lite or fb messenger me account banakar login ho jana hai.

3. Iske baad aapko home page wale options me 3horizontal line par click Karna hai 



4. 3 horizontal line wale options me click karne ke baad aapko niche scroll down Karna hoga 

5. Niche ane par apko moon (dark mode) wale options Me click karna hai yah Kafi easy hai 


6. Jaise hi dark mode wale options me touch karenge yah Activate Ho jata hai Aur yah Kuch is Tarah dikhayi dene lagega 



To is Tarah se aap apne facebook lite me dark mode ko on kar sakte hai aap chahe to Ise on or off bhi 
Kar sakte hai.jaisi apki Marji ho Vaisa Iska use Kar sakte hai 

To dosto hamne is post me apko Bataya ki facebook me dark mode ko  kaise On kare 
agar apko hamara yah article pasand aya hai to Ise Jyada se Jyada apne dosto ke sath share Kare.


ये भी पढ़ें-





Aur yah jankari apne Sabhi friends logo tak jaroor pahunchaye. Thankyou ..








Post a Comment

0 Comments