Dosto, jaisa ki is post me hum apko batane Ja. rahe hai ki. injection hath me or kamar me hi Kyo diya jata hai ? Aap jante hi honge ki aksar log bimar pad jate hai. Aur unhe injection lagwana pad jata hai. Logo ko kai Tarah ki bimari apne chapet me le Leti hai aur yah Aniymit khanpan Aur apne health par na dhyan dene se hota hai. Jiska khamyaja ek bimari ke roop me dekhno ko milta hai.
Ek tarah se dekha jaye to un Sabhi bimari se chhutkara pane ke liye aapko apne health par carefully dhyan Dena chahiye jisse ki aage bimar hone ki naubat Na aye. Mai is post apko yah batane wala hu ki. hum injection hatho me or kamar me hi Kyo lagwate hai.?
To chaliye apko Jyada Der tak uljhan me dalte huye aapko iski jankari Jaldi se Jaldi bata dete hai.
Injection hath me lagane ke pichhe ka reason.
Dosto, jis injection me patli davai hoti hai. Kaha jaye ki davai ka patla ghol hota hai. Use Jyadatar hand (hatho) me laga diya jata hai Kyoki Iska bahav Naso me Jyada hota hai Aur sath hi jalan aur dard bahut Kam hota hai. Jise hum aasani se sah sakte hai.
Yadi Iske ulat dekhe to Jyada ghol wala davai ka injection hatho me laga diya jaye to hatho se kaam Karna muskil Ho Sakta hai Aur yaha tak ki hatho me sujan aur hath moti Ho sakti hai.aur hatho ko uthana mushkil Ho jata hai.
Doctor ke dwara 3 typs ke injection Diye jate hai.
Pehla hota hai Intramuscular yaani ki Jo injection muscle me Diye jate hai.
.Dusra hota hai intravenous matalab jo van ke andar le jakar Diye jate hai.
.tisra hota hai intra-arterial jo ortery me Diye jate hai.
Jyadatar injection intramuscular hote hai or intravenous Hote hai. Intramuscular injection kamar me Diye jate hai or bhuja me Diye jate hai.
Injection ko kamar me Kyo lagaya jata hai.?
Jaisa humne aapko Bataya ki patli ghol wali davai ki injection ko hath me diya jata hai.
Thaki jisse ki Kafi Jyada ghol wala davai ki injection ko kamar me Lagaya jata hai Aur aksar doctor Jyada ghol wale davai ki kamar me hi dete hai.
Hamare Kamar me Jyada charbi (fat) hoti hai jiski vajah se injection ka asar bahut Kam hota hai. Halaki starting me jab injection diya jata hai to pain hota hi hai.
Kya hoga yadi Jyada ghol wala davai ka injection hatho me diya jaye?
Jyada davai ka ghol gadhi (hard) hone ke karan agar Ise Naso me Diya jaye to medicine ke ghol ka bahav dhima ho jata hai. Aur pain bhi hota Aur kabhi kabhi sujan ki naubat Aa jati hai. Jo Kafi dardniy hoti hai.
Lekin yah sujan Jyada Dino tak Nahi rahta agar Kuch Jyada hi sujan hota hai to doctor sujan ko kam karne ki medicine or malham dete hai. Jisse sujan Kam ho aur hatho ko Aaram mile.
Dosto aapko mera post kaisa laga Hume Bataye aur Jyada se Jyada apne dosto ke sath share Kare. Aur age Aise hi rochak post padhne ke liye Hume comment Kare.
Thank you.
0 Comments