Dosto, apne Aeroplane dekha hi hoga or Isme Aapne safar bhi kiya hoga to aap aksar Dekhte honge ki Aeroplane ka color white color ki hi Kyo hoti hai.? Aapne kabhi gaur kiya hai is baat par. Nahi na
Friends aaj hum is post ki help se apko batane wale hai ki jyadatar aeroplane ka color white hi Kyo hoti hai. Akhir Iske pichhe ka reason Kya hai.? Yah Janna bahut jaroori to Nahi Lekin Kuch chhoti chhoti jankari honi chahiye.
Aeroplane ke white color hone ka reason.
Dosto aeroplane ke white color hone ke pichhe 2 reason hota scientific aur economic reason.
to chaliye sabse Pehle jante hai scientific reason ko -
1. White color aeroplane ko heat hone se bachata hai, ye to aapko Malum hi hoga ki jyadatar aeroplane ko dhoop me hi Rehne rahta hai Aur sun ki roshni is par padti hai
2. White color ka aeroplane me White color ki visibility dusre color ki tulna me visibility Jyada hoti hai. Jiske karan white color ka aeroplane sky me Asani se dikhayi deta hai jisse eccident se bachav hota hai
3. Sun ki roshni me infrared rej bhi shamil Hote hai. Jo bahut Jyada heat Paida karti hai Aise me white color aeroplane ko heat se bachata hai
Kyoki white color ek Achha reflector hota hai jo sun ki roshni ko 99 percent tak Vapas kar deta hai jisse aeroplane heat hone se bach jata hai
4. White color ke aeroplane me scratch aur dent Asani se dikhayi deta hai. Aise me white color adhik safety deta hai.
5. Light weight. White color Baki color ki tulna me halka hota hai. Is vajah se aeroplane par white color pent karne se plan ka weight Nahi badhta. Jabki dusre color karne par weight Jyada ho sakta hai.
Ab chaliye jante hai Iske economic reason ko-
1. Risel value iski Jyada hoti hai. White color ke aeroplane me Risel value Jyada hoti hai Aise me white color ka aeroplane profitable sabit hota hai.
2. Pent ka kharch. Aeroplane ko white color ki jagah Koi dusre color ki pent lagane se Iska kharch Jyada Aa Sakta hai.
Jabki white color ki pent lagane ka kharcha Kam hota hai.
3.Color karwane me bhi adhik time lag Sakta hai maximum apko 3-5 weeks lag jata hai jo time ki barbadi hi hai.
4. Fuel ki bachat hoti hai. Yadi white color ki bajay Koi dusra color karne se Iska weight badh jata hai Aur fuel ki khapat badh jati hai.
Jabki white color karne se weight Kam rahta hai Aur fuel ki khapat Kam hoti hai. Aur jo bhi company hoti hai uska kharcha bach jata hai.
Dosto, agar yah post pasand ayi to Hume comment Kare Aur apne dosto ke sath share Jaroor Kare. Aur Aise hi rochak jankari pane ke liye humse Jude rahe. Thank you.
0 Comments