Friends, hum aapko is post me batane wale hai ki Beginners ko blog post kis Tarah ka likhna chahiye jinse unko bahut jald hi Iska fayda mile, aur unka article google par rank kar sake aur Jyada se Jyada traffic mile.
Aksar begging me blog post likhne me bahut dikkat aati hai ki, kis Tarah se likhe ?kaise likhe ? Kis topic pe likhe ? Aur bahut Kuch problem starting me phase Karna padta hai. Aisi hi problem Maine bhi phase kiya hai aur kafi Dino tak to mujhe Kuch Samjh hi Nahi aa Raha tha ki post kaise likhe. Kis topic se start Kare. Lekin Ab ye problem thodi Kam ho chuki hai. Is techniques ka used karke.
Beginners apna blog post kis Tarah ka likhe ?
Mai aapko yah Nahi bolunga ki kis Tarah se likhe, Mai apko yah bataunga kis Tarah ke likhe jaye jisse aapka post rank kar jaye. To chaliye apko step by step batate hai.
1. Sabse Pehle beginners walo ko chaliye ki ek Achha sa blog niche or category select kar le. Jisme aapki pakad majboot Ho. Kuch blog Niche hum aapko bata rahe hai Jisme aapki jyada knowledge ho use select karle.
. Technology
. Health
. Education
. Food
. Traveling
. Biography
. Fashion design
in category me se apki jis kisi me achhi khasi pakad hai. Or aapko Kuch Aur niche ke bare me behtar Pata ho to aap us par kaam kar sakte hai. Bas aapko Usme knowledge honi chahiye.
2.Yadi aap beginners hai to Aapo chahiye ki aap Jyada se Jyada try Kare ki question type ke topic find karke us par ek Achha sa post Likhe. Jaise ki.
. How to ?
. why ?
. when ?
Is type ke topic par aap ek Bada sa post Likh sakte hai. log aksar question type ke aunswer hi search kiya karte hai Aur pasand karte hai. Kyoki is world me logo ke mind me Kyo, kaise, aur kab, is Tarah ke sawal aate rahte hai. To is type ke post likhne me aapko fayda hoga. Aur aapka post rank kar jayega.
3. Aapke liye yah Achha rahega ki Apne post ko likhne se Pehle usko check kar le ki is type ke topic searched kiye jate hai ki Nahi. Agar dekha jaye to question wale topic par Jyada dikkat Nahi aati hai log search karte hi hai .Fir bhi ek baar. Keyword tool ka istemal karke aap dekh sakte hai. Iska searches Kitna hai.
Post likhte samay yah bhi dhyan Rakhe ki topic English and Hindi mixed hi Rakhe jisse ki SEO friendly post lage aur rank Ho jaye
Ab aapke mind me yah Aa raha hoga ki question wale topic kaha se laye.?
To dosto aapko Iske liye bhi bahut se Aise site hai jaha par logo ke dwara question pichhe jate hai. Unme se hum apko Kuch sit ke bare me bata de rahe hai jaha se aapko topic Mil jayega. Jaise ki.
. Quora
. Question hub
. linked
In Teeno ka aap use karke apne liye ek topic find Kar sakte hai Aur traffic bhi Yaha se le sakte hai. Jisse apko Aage Kafi benefits milega Aur agle post ke liye bhi topic Mil jayega.
To dosto, aapko yah jankari kaisi lagi Hume Ummid hai ki achhi lagi Hogi. Is post ko apne friends Aur un beginners logo tak share Jaroor Kare jo apna first blog post likhna chahte hai Jinhe Koi idea Nahi. unko is article se Kafi help Milegi to share Jaroor Kare. Thank you.
.
0 Comments