Main Menu

Chori या गुम हुए Mobile phone ki location कैसे पता करे ? Latest jankari Hindi me.

Dosto, Jaisa ki hum log kabhi kabhi Itni jald-baazi me rehte hai ki apne mobile phone ko hi guma baithte hai. Or kisi jagah pe apne mobile phone ko rakh kar bhul jate hai Aur is chij ka yaad aate aate aapka mobile phone chori or Koi dusra vyakti utha le jata hai. Aur yah aaj ke jamane me Aam baat si Ho gayi hai..

Aye din Aise bahut se mamle dekhne ko milte rahte hai. Kabhi kabhi to aap bahut kosis karke apne mobile phone ko wapas pa jate hai. Lekin Kuch condition me Aisa Nahi Ho Pata. Or hame apna mobile phone Nahi Mil Pata. To police station complain karte hai. Lekin Wo bhi milta bhi hai Aur nahi bhi. Maximum case me to milta hi Nahi.



To hum apke liye is problem ko solve karne ke liye Kuch Technic laye hai jiski help se aap Asani se apne mobile phone ki location Pata Kar us tak Pahunch sakte hai. To chaliye jante hai ki yah kaise hoga.


Chori huye Mobile phone ki location kaise Pata kare?


To friends Iske liye aapko or apke dost ke pas ek application hona chahiye jise aap playstore download kar sakte hai us application ka Naam *find my device* hai. Jo use karne me Kafi Achha Aur asan hai. 



Hum apko bata dete hai ki yah google ki ek official application hai Jise specially mobile phone ki chori hone or gum hone par uska location Pata karne ke liye hi banaya gaya hai. 



To fir chaliye hum log find my device application se apne mobile phone ki location  ka Pata kaise lagaye step by step se Jan lete hai. 

 

1. Sabse Pehle to aap apne mobile phone me play store par jakar *find my device* application ko download Kar lijiye aur install kr le.



2. App Install hone ke baad aap find my device application ko open kijiye uske baad sign in as guest wale options ke button par click kr le. Jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai .



3. Ab aap jis bhi mobile phone ka location Pata karna chahte hai. us phone me jo Gmail I'd hai or thi usse login Karna hai. 


4. Yaha aapse find my device app se mobile phone ki location ko excess karne ke liye permission mangega 


Taki Abhi aapke pas jo mobile hai, Aur jo mobile chori or gum hua hai uski distance kitni hai. Yah apko bata sake Bas aapko allow par click Karna hai.


 5. Aap jaise hi allow par click karte hai apke Mobile ki location map par dikhayi dene lagegi.



Yah baate dhaan me rakhne wali hai Kai aap mobile phone ki location dekhna chahte hai to internet aur location dono On Hona chahiye. Tabhi aapko chori huye Mobile Phone ki jankari Mil payega. 



ये भी पढ़ें-

Mobile कि Internal Storage Full हो जाये तो Kya Kare । With Solutions । हिंदी में । 



Dosto, yah jankari aapko kaisi lagi Hume comment Kare Aur Bataye.aur sath hi apne dosto tak share Kare aur Baki isi Tarah ki jankari ke liye humse Jude rahe. Thank you. 









Post a Comment

0 Comments